Thursday, 7 April 2011

Urdu Hindi SmS




HALAKAT KHAYZ hai OLFAT
MAYRI HER SAANS KHOONI HAI

ISSI BAAIS YEH DIL KI NAGRI
KABROW SAY BHI SOONI HAI HAI

OSSAY MAY ZEHREELI KHOSHBO OW K
RANGEEN HAAR DAYTA HOWN

JISSAY MAY PIYAR KRTA HOWN
OSSAY MAY MAAR DAYTA HOWN
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



Chand lamhe bache hain tere mere saath ke
Mumkin hai ke bichar jaaye bina mulakat ke
Kahan ansuon ki ye saugat hogi
Naye log honge nayi baat hogi
Main har haal me muskurata rahunga
Gar tumhari dosti mere saath hogi
Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main
Badi door tak andheri raat hogi
Musafir hoon main bhi Musafir ho tum bhi
Phir kahin kisi mod par mulaqat hogi
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)

Uss nay Khat main
Ishq ka Matlab Pooch liya hai
Mein nay Likha hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Akar
Maan Angan mein Phool Khila day
Jab Koi Naam Labon ko Choo kar
Dharkano ki Tarteeb Bhula day
Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se
Atish ko Gulzar bana day
Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna
Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai
ISHQ se Pehlle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)


tum rooth jao mujh se,aisa kabhi na ho
main ek nazar ko tarsoo,aisa kabhi na ho
main pooch pooch haroon so so sawal kar k
tum kuch jawab na do,aisa kabhi na ho
kuch me bhi junooni hoon kuch meri muhabbat bhi
ye junoon tham na jai,aisa kabhi na ho

mere hi saath hansna,mujh se hi milke rona
mujh se bichar k jilo,aisa kabhi na ho

tum chand ban k rehna main dekhti rahoon gi
koi raat tum na niklo,aisa kabhi na ho.
..((`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)

vo to Khushbuu hai
vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)


sundar komal sapano.n kii baaraat guzar ga_ii jaanaa.N
dhuup aa.Nkho.n tak aa pahu.Nchii hai raat guzar ga_ii jaanaa.N

bhor samay tak jis ne hame.n baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaa.N

sadaa kii dekhii raat hame.n is baar milii to chup ke se
Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaa.N

kis ko.npal kii aas me.n ab tak vaise hii sar-sabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaa.N

log na jaane kin raato.n kii muuraade.n maa.Ngaa karate hai.n
apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaa

(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)

hum ab sab muntazir hain
poori shidat se
magar kis k...?
khabar kis ko...?
magar sab muntazir hain

samandar! hum tumhaare muntazir hain
humaare zarf gehraaii se aari hochuke hain
tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao
k gehraaii main paani kaise behta hay?
sukoon chehre pe daaim kaise rehta hay
wo jab aati hain pooray chaand ki raaten
to kaise josh aata hay?
kinaaron se
zamaanay se
baghaawat kaise hoti hay?

sitaaro! hum tumhaare muntazir hain
kisi din tum drawing room main utro
k sarrkon pe to ab hum aa nahi sakte
bataao, ab humara kia muqadar hay
humaare rahnuma kiun rahbari k fan se a'aari hain
tumhen zehmat to hogi unko samjhaao
andhere main kisi ko raasta kaise dikhaatay hain?
shabon main phelti aaloodgi se kis tarha daaman bachaatay hain?

parindo! hum tumhaare muntazir hain
k hum to taaqat e parwaaz ab rakhte nahi hain
hum ik doosre k par to khud hi kaatt dete hain
tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao
paron ko qenchiyon se kis tarha mehfooz rakhte hain
shikaari ki nigaahen kis tarha se bhaanp lete hain
jahan ho daam humrang zameen to kistarha urrna hay
aazaadi bachaani hay
kisi barsaat se pehlay
kisi toofaan se pehlay
pohanch jaatay hain kaise aashiyaanon ghonslon main

or unhen mosam ki shidat se bachaatay kis tarha hain
kis tarha mazboot rakhte hain
samandar kab kisi k ghar main aata hay
sitaare kab drawing room main utray
parindon ne ahan school kholay hain

magar hum to kisi k muntazir hain
na jaanay kon aay ga?
na jaanay kab wo aay ga..
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



Sham
aaj kiun hum se lipatt'ti hay saba
too ne aey dost bulaya to nahi

dil k aangan main bhattakte saaye
kuch yahan too ne ganwaaya to nahi

tere chehre pe taghaiyur kiun hay
haal e dil humne sunaya to nahi

shaam ddhalti hay to main sochta hoon
zindagi mout ka saya to nahi

"SHAM" g khoay se rehte ho sada
kia koi dil main samaaya to nahi
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



kyaa kahoN tum se main ke kyaa hai ishq
jaaN kaa rog hai, balaa hai ishq

ishq hii ishq hai jahaaN dekho
saare aalam mein bhar rahaa hai ishq

ishq maashuuq ishq aashiq hai
yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq

ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin
kahain bandaa kahain Khudaa hai ishq

kaun maqsad ko ishq bin pahuNchaa
aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq

koyii Khvaahan nahi mohabbat kaa
tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq

hum to ji zard hote jaate hain
kyaa kahain tum ne bhii kiyaa hai ishq ?
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



jaane woh kaise
Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila

Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila


Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)


Yaad mein teri jahan ko bhool jaati hoon mein…
Oh bhoolnewale, Kabhi tujko bhi yaad aati hoon mein ?
Jitni masoom hoon mein aapse bichhadkar ,
Itnee siddat se to aapne muje chhaha bhee nahi…
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)




aj phir khuda nay hum say pocha, tera hansta chera udas kyon hai,barasti ankhoon mein pyas kyon hai,jin ki nazroon mein tum kuch bhi nahi,woh tumhare liye itna khas kyon hai

Ae dost teri tamana kabi nakam na ho.Jis me rhy udas koi lamha na ho.Jo arzo ho teri wohi tera naseeb ho.Tu dil se jis ko mang ly.Pal me tery qareb ho
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)

Tu cHand Hai is zamin ka or main suraj HonYHi waja Hai jo apne darmian dori HaiRook na mujHe dekH tu zid na karTeri cHandni k leye mera dobna zaruri hai
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)

Chand lamhe bache hain tere mere saath ke
Mumkin hai ke bichar jaaye bina mulakat ke
Kahan ansuon ki ye saugat hogi
Naye log honge nayi baat hogi
Main har haal me muskurata rahunga
Gar tumhari dosti mere saath hogi
Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main
Badi door tak andheri raat hogi
Musafir hoon main bhi Musafir ho tum bhi
Phir kahin kisi mod par mulaqat hogi
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



Ghar se Bar Wo Nakab me Nikali,
Sari gali unki Firak me nikali
Inkar karte the wo Hamari Mohabbat se
or Hamari hi Tasvir unki kitab se Nikali
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



aaj kiun hum se lipatt'ti hay saba
too ne aey dost bulaya to nahi
dil k aangan main bhattakte saaye
kuch yahan too ne ganwaaya to nahi
tere chehre pe taghaiyur kiun hay
haal e dil humne sunaya to nahi
shaam ddhalti hay to main sochta hoon
zindagi mout ka saya to nahi
"SHAM" g khoay se rehte ho sada
kia koi dil main samaaya to nahi
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)



kyaa kahoN tum se main ke kyaa hai ishq
jaaN kaa rog hai, balaa hai ishq
ishq hii ishq hai jahaaN dekho
saare aalam mein bhar rahaa hai ishq
ishq maashuuq ishq aashiq hai
yaani apanaa hii mubtalaa hai ishq
ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin
kahain bandaa kahain Khudaa hai ishq
kaun maqsad ko ishq bin pahuNchaa
aarazuu ishq vaa muddaa hai ishq
koyii Khvaahan nahi mohabbat kaa
tuu kahe jins-e-naarawaa hai ishq
hum to ji zard hote jaate hain
kyaa kahain tum ne bhii kiyaa hai ishq?
(`“•.¸(`“•.¸ ..(Fatima Ahmad)¸.•“´) ¸.•“´)

No comments:

Post a Comment